jayaz hai darna janab aamad-e-roz-e-jazaa se
hota hai yahaan jo
sab aap hi ki razaa se
mehak phoolan ki
fakat nahi kuchle patton ka
naala-gham-e-zaar
bhi to mukhaatib hai yahan fiza se
nafaham hain jujhte
hain saraab-e-haqeeqat larazaan se
magar bolte hain ke
vaakif hain khaamoshi ki sazaa se
na samajh lein
hamein gunehgaar-e-barabar-e-mataakab
ye darr hai ya
khuda bada khauf-e-kazaa se
issi tehzeeb-o-sakafat mein hui parvarish
aur ab dushmani ho
gayi rooh ki gazaa se?