hum abhi nahi bolenge
abhi to internet chalta hai
ghar thik hai, chulha jalta hai
kuch sahme bhi hain, kuch
darte hain. aur kaam bahut hai
sar jhukaaye apna kaam karte hain
abhi tumhare ghar jalaye jayenge
phir tumhein par dange karvane ke
mukadme chalaye jayenge
hum yahin kuch door khade dekhenge
jab saajish ki kahaaniyaan bana kar
tumheon jailon me phekenge
tum se hamdardi hamein zaroor hai
magar kya hai ki
hamare ghar abhi door hain
aur phir kya sach hai kya
jhooth, sach kahein to
hamein theek se nahi maaloom
yoon hi kya sadkon pe utar aayein?
kisi ke liye
kisi ke khilaaf naarey lagaein?
jab bheed banker ye hamari taraf aayenge
tab dekhenge kya karna hai
un se mil jana hai ya ladna hai
tab in baton ka ghaata-munafa tab tolenge
hum abhi nahi bolenge
No comments:
Post a Comment