Saturday, 9 November 2024

jayaz hai darna janab


jayaz hai darna janab aamad-e-roz-e-jazaa se

hota hai yahaan jo sab aap hi ki razaa se

 

mehak phoolan ki fakat nahi kuchle patton ka

naala-gham-e-zaar bhi to mukhaatib hai yahan fiza se

 

nafaham hain jujhte hain saraab-e-haqeeqat larazaan se

magar bolte hain ke vaakif hain khaamoshi ki sazaa se

 

na samajh lein hamein gunehgaar-e-barabar-e-mataakab

ye darr hai ya khuda bada khauf-e-kazaa se

 

issi tehzeeb-o-sakafat mein hui parvarish

aur ab dushmani ho gayi rooh ki gazaa se?

 

Thursday, 7 November 2024

hum abhi nahi bolenge

 

hum abhi nahi bolenge

abhi to internet chalta hai

ghar thik hai, chulha jalta hai

 

kuch sahme bhi hain, kuch

darte hain. aur kaam bahut hai

sar jhukaaye apna kaam karte hain

 

abhi tumhare ghar jalaye jayenge

phir tumhein par dange karvane ke

mukadme chalaye jayenge

 

hum yahin kuch door khade dekhenge

jab saajish ki kahaaniyaan bana kar

tumheon jailon me phekenge

 

tum se hamdardi hamein zaroor hai

magar kya hai ki

hamare ghar abhi door hain

 

aur phir kya sach hai kya

jhooth, sach kahein to

hamein theek se nahi maaloom

 

yoon hi kya sadkon pe utar aayein?

kisi ke liye

kisi ke khilaaf naarey lagaein?

 

jab bheed banker ye hamari taraf aayenge

tab dekhenge kya karna hai

un se mil jana hai ya ladna hai

tab in baton ka ghaata-munafa tab tolenge

hum abhi nahi bolenge


jayaz hai darna janab

jayaz hai darna janab aamad-e-roz-e-jazaa se hota hai yahaan jo sab aap hi ki razaa se   mehak phoolan ki fakat nahi kuchle patton ka ...